kahin hai dagh-e-nakaami kahin hai KHun arman ka
kahīñ hai dāġh-e-nākāmī kahīñ hai ḳhuun armāñ kā
hamārā dil muraqqā ban gayā hai yās-o-hirmāñ kā
jahāñ vāloñ pe maiñ ehsān karke bhuul jaatā huuñ
mire aḳhlāq ko chamkā rahā hai naqsh nisyāñ kā
alā.eq meñ ulajh kar fursat-e-nazzāra kho baiThā
nihāyat diid ke qābil thā manzar bazm-e-imkāñ kā
baḌhī hai tishnagī sairāb kar do paañv ke chhālo
zarā sā muñh nikal aayā hai har ḳhār-e-bayābāñ kā
nahīñ haiñ 'hālī'-o-'iqbāl' se shā'ir to kyā ġham hai
abhī ik dam ġhanīmat hai to 'jarrār'-e-suḳhan-dāñ kā
kahin hai dagh-e-nakaami kahin hai KHun arman ka
hamara dil muraqqa ban gaya hai yas-o-hirman ka
jahan walon pe main ehsan karke bhul jata hun
mere aKHlaq ko chamka raha hai naqsh nisyan ka
alaeq mein ulajh kar fursat-e-nazzara kho baiTha
nihayat did ke qabil tha manzar bazm-e-imkan ka
baDhi hai tishnagi sairab kar do panw ke chhaalo
zara sa munh nikal aaya hai har KHar-e-bayaban ka
nahin hain 'haali'-o-'iqbaal' se sha'ir to kya gham hai
abhi ek dam ghanimat hai to 'jarrar'-e-suKHan-dan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.