kahin jangal kahin darbar se ja milta hai
kahīñ jañgal kahīñ darbār se jā miltā hai
silsila vaqt kā talvār se jā miltā hai
maiñ jahāñ bhī huuñ magar shahr meñ din Dhalte hī
merā saaya tirī dīvār se jā miltā hai
terī āvāz kahīñ raushnī ban jaatī hai
terā lahja kahīñ mahkār se jā miltā hai
chaudhvīñ-rāt tirī zulf meñ Dhal jaatī hai
chaḌhtā sūraj tire ruḳhsār se jā miltā hai
gard phir vus.at-e-sahrā meñ simaT jaatī hai
rāsta kūcha o bāzār se jā miltā hai
'rām' har-chand ka.ī log bichhaḌ jaate haiñ
qāfila qāfila-sālār se jā miltā hai
kahin jangal kahin darbar se ja milta hai
silsila waqt ka talwar se ja milta hai
main jahan bhi hun magar shahr mein din Dhalte hi
mera saya teri diwar se ja milta hai
teri aawaz kahin raushni ban jati hai
tera lahja kahin mahkar se ja milta hai
chaudhwin-raat teri zulf mein Dhal jati hai
chaDhta suraj tere ruKHsar se ja milta hai
gard phir wusat-e-sahra mein simaT jati hai
rasta kucha o bazar se ja milta hai
'ram' har-chand kai log bichhaD jate hain
qafila qafila-salar se ja milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.