kahin jangal ugate hain kahin aahu banate hain
kahīñ jañgal ugāte haiñ kahīñ aahū banāte haiñ
musavvir haiñ tire pahlū ko sad pahlū banāte haiñ
bhalā kyā qatl par apne raqīboñ se gila ki vo
mirā naafā judā kar ke tirī ḳhushbū banāte haiñ
tahammul siikh ham se guftugū kar narm lahje meñ
ki sab tere ravayye hī ko apnī ḳhū banāte haiñ
kahīñ koī sitāra chhoḌte haiñ be-karānī meñ
kabhī andher nagrī meñ koī jugnū banāte haiñ
adū kaise sitamgar haiñ mujhe tasḳhīr karne ko
tirī tasvīr ke uupar mire baazū banāte haiñ
hameñ to ḳhvāb meñ bhī zulf suljhāne kī aadat hai
magar vo log jo uljhe hue gesū banāte haiñ
tire ka.abe se kuchh īmān vāloñ ko ġharaz hogī
ki ham kāfir to but-ḳhāna bhī qibla-rū banāte haiñ
ham aise kushtagān-e-ḳhāk hī 'ākāsh' sahrā meñ
sabā ko apne dil kī dhoñknī se lau banāte haiñ
kahin jangal ugate hain kahin aahu banate hain
musawwir hain tere pahlu ko sad pahlu banate hain
bhala kya qatl par apne raqibon se gila ki wo
mera nafa juda kar ke teri KHushbu banate hain
tahammul sikh hum se guftugu kar narm lahje mein
ki sab tere rawayye hi ko apni KHu banate hain
kahin koi sitara chhoDte hain be-karani mein
kabhi andher nagri mein koi jugnu banate hain
adu kaise sitamgar hain mujhe tasKHir karne ko
teri taswir ke upar mere bazu banate hain
hamein to KHwab mein bhi zulf suljhane ki aadat hai
magar wo log jo uljhe hue gesu banate hain
tere kabe se kuchh iman walon ko gharaz hogi
ki hum kafir to but-KHana bhi qibla-ru banate hain
hum aise kushtagan-e-KHak hi 'akash' sahra mein
saba ko apne dil ki dhonkni se lau banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.