kahin kahin to ye manzar badal gaya hoga
kahīñ kahīñ to ye manzar badal gayā hogā
pahāḌ kaT ke samundar se jā milā hogā
kisī kī palkoñ pe jab bhī diyā jalā hogā
tamām shahr ujāloñ se bhar gayā hogā
sulagtī yaado kuredo na mere maazī ko
jarāhatoñ kā koī vo bhī silsila hogā
vo apne ḳhvāb ke haibat-zada añdhere meñ
ḳhud apnī chīḳh pe yak-laḳht Dar gayā hogā
tamām rāste vīrān ho chuke hoñge
ab un kā shahr bhī sahrā se jā milā hogā
jidhar kā 'azm-e-safar kar rahe ho tum 'parvez'
udhar to aur bhī tārīk rāsta hogā
kahin kahin to ye manzar badal gaya hoga
pahaD kaT ke samundar se ja mila hoga
kisi ki palkon pe jab bhi diya jala hoga
tamam shahr ujalon se bhar gaya hoga
sulagti yaado kuredo na mere mazi ko
jarahaton ka koi wo bhi silsila hoga
wo apne KHwab ke haibat-zada andhere mein
KHud apni chiKH pe yak-laKHt Dar gaya hoga
tamam raste viran ho chuke honge
ab un ka shahr bhi sahra se ja mila hoga
jidhar ka 'azm-e-safar kar rahe ho tum 'parwez'
udhar to aur bhi tarik rasta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.