kahin KHala mein koi ruh chiKHti hogi
kahīñ ḳhalā meñ koī ruuh chīḳhtī hogī
mirā ḳhayāl hai ab shaam Dhal chukī hogī
paḌhā to thā kahīñ maiñ ne kisī faqīr kā qaul
baġhāvatoñ kī nigahbāñ supurdagī hogī
maiñ ḳhud se mahv-e-takallum thā be-hijābāna
mujhe ḳhabar na thī duniyā bhī sun rahī hogī
mire vajūd ko āhang bhī usī ne diyā
mire adam kā sabab bhī yahī sadī hogī
abhī abhī jo sar-e-rahguzar milī thī mujhe
vo dhuup chhāñv kī mūrat kahāñ ga.ī hogī
safīna-e-vaqt kise apne muñh lagātā hai
hamīñ ne phir koī baat aisī vaisī kī hogī
hayāt meñ vo maqām aa rahā hai ab ki jahāñ
na e'tiqād muāvin na āgahī hogī
ajiib ḳhauf musallat dil-o-dimāġh pe hai
mire safar kī ye shab shāyad āḳhirī hogī
ye january kā mahīna bhī kaT gayā 'hairat'
ḳhudā ke fazl se kal ek farvarī hogī
kahin KHala mein koi ruh chiKHti hogi
mera KHayal hai ab sham Dhal chuki hogi
paDha to tha kahin main ne kisi faqir ka qaul
baghawaton ki nigahban supurdagi hogi
main KHud se mahw-e-takallum tha be-hijabana
mujhe KHabar na thi duniya bhi sun rahi hogi
mere wajud ko aahang bhi usi ne diya
mere adam ka sabab bhi yahi sadi hogi
abhi abhi jo sar-e-rahguzar mili thi mujhe
wo dhup chhanw ki murat kahan gai hogi
safina-e-waqt kise apne munh lagata hai
hamin ne phir koi baat aisi waisi ki hogi
hayat mein wo maqam aa raha hai ab ki jahan
na e'tiqad muawin na aagahi hogi
ajib KHauf musallat dil-o-dimagh pe hai
mere safar ki ye shab shayad aaKHiri hogi
ye january ka mahina bhi kaT gaya 'hairat'
KHuda ke fazl se kal ek farwari hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.