kahin kho na jaana zara dur chal ke
kahīñ kho na jaanā zarā duur chal ke
musāfir tirī taak meñ haiñ dhundalke
mirā niiñd se aaj jhagḌā huā hai
so lete haiñ donoñ hī karvaT badal ke
isī Dar se chaltā hai sāhil kināre
kahīñ gir na jaa.e nadī meñ phisal ke
ajab bojh palkoñ pe din bhar rahā hai
agarche tire ḳhvāb the halke halke
jatāte rahe ham safar meñ haiñ lekin
bhaTakte rahe apne ghar se nikal ke
añdhere meñ mub.ham huā har nazāra
milī ek duuje meñ har shai pighal ke
zamāne se saare sharar chun le 'ātish'
yahī to anāsir haiñ terī ġhazal ke
kahin kho na jaana zara dur chal ke
musafir teri tak mein hain dhundalke
mera nind se aaj jhagDa hua hai
so lete hain donon hi karwaT badal ke
isi Dar se chalta hai sahil kinare
kahin gir na jae nadi mein phisal ke
ajab bojh palkon pe din bhar raha hai
agarche tere KHwab the halke halke
jatate rahe hum safar mein hain lekin
bhaTakte rahe apne ghar se nikal ke
andhere mein mubham hua har nazara
mili ek duje mein har shai pighal ke
zamane se sare sharar chun le 'atish'
yahi to anasir hain teri ghazal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.