kahin KHud ro na paDna mujhko giryan dekhne wale
kahīñ ḳhud ro na paḌnā mujh ko giryāñ dekhne vaale
kabhī tūfāñ meñ bah jaate haiñ tūfāñ dekhne vaale
nasheman phūñk kar ḳhush haiñ charāġhāñ dekhne vaale
lapaT meñ āh-e-sozāñ kī gulistāñ dekhne vaale
maiñ kis kā aks huuñ maiñ kis kī sūrat kā huuñ ā.īna
agar dekheñ mujhe bā-chashm-e-hairāñ dekhne vaale
ziyā-e-kaukab-e-taqdīr se tashbīh dete haiñ
tirī peshānī-e-ḳhanda pe afshāñ dekhne vaale
jo zāhir hai vahī bātin jo bātin hai vahī zāhir
mujhe dekheñ mirā chāk-e-garebāñ dekhne vaale
tumheñ arsh-e-barīñ par dekh kar hairān-o-shashdar haiñ
havā ke dosh par taḳht-e-sulaimāñ dekhne vaale
mujhe us anjuman kī justujū muddat se hai 'anvar'
jahāñ rahte hoñ insānoñ ko insāñ dekhne vaale
kahin KHud ro na paDna mujh ko giryan dekhne wale
kabhi tufan mein bah jate hain tufan dekhne wale
nasheman phunk kar KHush hain charaghan dekhne wale
lapaT mein aah-e-sozan ki gulistan dekhne wale
main kis ka aks hun main kis ki surat ka hun aaina
agar dekhen mujhe ba-chashm-e-hairan dekhne wale
ziya-e-kaukab-e-taqdir se tashbih dete hain
teri peshani-e-KHanda pe afshan dekhne wale
jo zahir hai wahi baatin jo baatin hai wahi zahir
mujhe dekhen mera chaak-e-gareban dekhne wale
tumhein arsh-e-barin par dekh kar hairan-o-shashdar hain
hawa ke dosh par taKHt-e-sulaiman dekhne wale
mujhe us anjuman ki justuju muddat se hai 'anwar'
jahan rahte hon insanon ko insan dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.