kahin KHulus ki KHushbu mile to ruk jaun
kahīñ ḳhulūs kī ḳhushbū mile to ruk jā.ūñ
mire liye koī aañsū khile to ruk jā.ūñ
maiñ us ke saa.e meñ yuuñ to Thahar nahīñ saktā
udaas peḌ kā pattā hile to ruk jā.ūñ
kabhī palak pe sitāre kabhī laboñ pe gulāb
agar na ḳhatm hoñ ye silsile to ruk jā.ūñ
vo ek rabt jo itnā baḌhā ki TuuT gayā
simaT ke joḌ de ye fāsle to ruk jā.ūñ
bahut tavīl añdheroñ kā hai safar 'tāhir'
kahīñ jo dhuup kā saaya mile to ruk jā.ūñ
kahin KHulus ki KHushbu mile to ruk jaun
mere liye koi aansu khile to ruk jaun
main us ke sae mein yun to Thahar nahin sakta
udas peD ka patta hile to ruk jaun
kabhi palak pe sitare kabhi labon pe gulab
agar na KHatm hon ye silsile to ruk jaun
wo ek rabt jo itna baDha ki TuT gaya
simaT ke joD de ye fasle to ruk jaun
bahut tawil andheron ka hai safar 'tahir'
kahin jo dhup ka saya mile to ruk jaun
- Book : Kashkol (Pg. 48)
- Author : Tahir Faraz
- Publication : Isteara Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.