kahin lal-o-gohar paida kahin shams-o-qamar paida
kahin lal-o-gohar paida kahin shams-o-qamar paida
Amjad Ali Ghaznawi
MORE BYAmjad Ali Ghaznawi
kahīñ la.al-o-gohar paidā kahīñ shams-o-qamar paidā
tajallī aap kar letī hai har-sū jalva-gar paidā
jo hotī hai kisī meñ garmī-e-qalb-o-jigar paidā
to us kī chashm-e-tar kartī hai miTTī se guhar paidā
ye parde husn ke haiñ imtihān-e-shauq ke sāmāñ
yahī parde to karte haiñ jahāñ meñ parda-dar paidā
jo musht-e-ḳhāk meñ ho jaa.e shāhīñ kā jigar paidā
to āsānī se ho sakte haiñ us ke bāl-o-par paidā
ye kyoñ be-nūr ho jaatī hai chashm-e-nargis-e-bīnā
chaman meñ jab kabhī hotā hai koī dīda-var paidā
duā-e-maġhfirat ka.aba meñ Dhā kar ka.aba-e-dil ko
kahīñ aisī duāoñ meñ bhī hotā hai asar paidā
sar-e-bazm-e-azal kuchh muzmahil dekhā jo insāñ ko
to dil meñ kar diyā us ke mohabbat kā sharar paidā
ab aise mai-kade meñ 'amjad'-e-sarmast rahtā hai
man-o-tū kā tanāza hai na jis meñ shor-o-shar paidā
kahin lal-o-gohar paida kahin shams-o-qamar paida
tajalli aap kar leti hai har-su jalwa-gar paida
jo hoti hai kisi mein garmi-e-qalb-o-jigar paida
to us ki chashm-e-tar karti hai miTTi se guhar paida
ye parde husn ke hain imtihan-e-shauq ke saman
yahi parde to karte hain jahan mein parda-dar paida
jo musht-e-KHak mein ho jae shahin ka jigar paida
to aasani se ho sakte hain us ke baal-o-par paida
ye kyon be-nur ho jati hai chashm-e-nargis-e-bina
chaman mein jab kabhi hota hai koi dida-war paida
dua-e-maghfirat kaba mein Dha kar kaba-e-dil ko
kahin aisi duaon mein bhi hota hai asar paida
sar-e-bazm-e-azal kuchh muzmahil dekha jo insan ko
to dil mein kar diya us ke mohabbat ka sharar paida
ab aise mai-kade mein 'amjad'-e-sarmast rahta hai
man-o-tu ka tanaza hai na jis mein shor-o-shar paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.