kahin na phir koi dar-o-rasan se saz kare
kahīñ na phir koī dār-o-rasan se saaz kare
ḳhudā kisī ko na aab āshnā-e-rāz kare
kahāñ tak aadmī hīl-e-ḳhirad se saaz kare
fazā-e-dahr ko allah junūñ-navāz kare
na pūchh martaba us ke maqām-e-ālī kā
jise vo fikr-e-do-ālam se be-niyāz kare
haqīqatoñ kī tajallī bhī pā.egā us meñ
jo rū-ba-rū koī ā.īna-e-majāz kare
nahīñ hai puḳhta abhī zauq-e-bandagī us kā
hudūd-e-dair-o-haram meñ jo imtiyāz kare
har ek saañs meñ suntā hai naġhma-e-lāhūt
vo jis ko gosh-bar-āvāz-e-nai-navāz kare
kahin na phir koi dar-o-rasan se saz kare
KHuda kisi ko na aab aashna-e-raaz kare
kahan tak aadmi hil-e-KHirad se saz kare
faza-e-dahr ko allah junun-nawaz kare
na puchh martaba us ke maqam-e-ali ka
jise wo fikr-e-do-alam se be-niyaz kare
haqiqaton ki tajalli bhi paega us mein
jo ru-ba-ru koi aaina-e-majaz kare
nahin hai puKHta abhi zauq-e-bandagi us ka
hudud-e-dair-o-haram mein jo imtiyaz kare
har ek sans mein sunta hai naghma-e-lahut
wo jis ko gosh-bar-awaz-e-nai-nawaz kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.