kahin nazar joDi ja rahi hai to dil kahin toDe ja rahe hain
kahin nazar joDi ja rahi hai to dil kahin toDe ja rahe hain
Ijtiba Rizvi
MORE BYIjtiba Rizvi
kahīñ nazar joḌī jā rahī hai to dil kahīñ toḌe jā rahe haiñ
hameñ na chheḌo ham in tamāshoñ ko dekh kar chhoḌe jā rahe haiñ
jahāñ hai sarsabz kisht-e-armāñ ujaaḌ sahrā vahāñ rahegā
udhar ko jo bah rahī haiñ nahreñ ab un ke ruḳh moḌe jā rahe haiñ
suno ki jis jis ne tum ko chāhā usī ne bohtān tum pe bāñdhe
qasam mohabbat kī tohmateñ kuchh phir aaj ham joḌe jā rahe haiñ
ye rasm-e-mai-ḳhāna kyā hai āḳhir koī to pīr-e-muġhāñ se pūchhe
jo kal banā.e ga.e the kuuze vo aaj kyoñ toḌe jā rahe haiñ
fazā meñ ik do pahar ko garmī havā meñ ik do ghaḌī ko sho'le
yahī nishānī hai jalne vāloñ kī ham yahī chhoḌe jā rahe haiñ
siyāh-mastoñ kī laġhzishoñ par kab is se pardā paḌegā saaqī
jo raat toḌe ga.e vo shīshe sahar ko kyā joḌe jā rahe haiñ
nazar kī vo garmiyāñ bhī dekhīñ adā kī ye jhiḌkiyāñ bhī dekho
jo dil meñ Daale ga.e the 'rizvī' vo aable toḌe jā rahe haiñ
kahin nazar joDi ja rahi hai to dil kahin toDe ja rahe hain
hamein na chheDo hum in tamashon ko dekh kar chhoDe ja rahe hain
jahan hai sarsabz kisht-e-arman ujaD sahra wahan rahega
udhar ko jo bah rahi hain nahren ab un ke ruKH moDe ja rahe hain
suno ki jis jis ne tum ko chaha usi ne bohtan tum pe bandhe
qasam mohabbat ki tohmaten kuchh phir aaj hum joDe ja rahe hain
ye rasm-e-mai-KHana kya hai aaKHir koi to pir-e-mughan se puchhe
jo kal banae gae the kuze wo aaj kyon toDe ja rahe hain
faza mein ek do pahar ko garmi hawa mein ek do ghaDi ko sho'le
yahi nishani hai jalne walon ki hum yahi chhoDe ja rahe hain
siyah-maston ki laghzishon par kab is se parda paDega saqi
jo raat toDe gae wo shishe sahar ko kya joDe ja rahe hain
nazar ki wo garmiyan bhi dekhin ada ki ye jhiDkiyan bhi dekho
jo dil mein Dale gae the 'rizwi' wo aable toDe ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.