kahin par zindagi ka nam-e-nami mauj-masti hai
kahīñ par zindagī kā nām-e-nāmī mauj-mastī hai
kahīñ par ādmiyyat zinda rahne ko tarastī hai
jahān-e-zindagī kī qudratī tasvīr haiñ donoñ
kahīñ sūkhā paḌā hai aur kahīñ bārish barastī hai
tirī daulat tujhe kyā faiz pahuñchā.egī tere baa'd
mayassar zindagī jitnī bhī qīmat par ho sastī hai
kisī qābil meñ hotā to kabhī kā qatl ho jaatā
ki har ahl-e-salāhiyyat kī dushman merī bastī hai
mohabbat hī kiyā kartī hai āmāda baġhāvat par
mohabbat hī vafādārī kī zanjīroñ meñ kastī hai
kamā lenā magar hargiz na karnā pyaar daulat se
ye nāgin apne shaidā ko nihatthā kar ke Dastī hai
kabhī 'tālib' yahāñ insāniyat kī qadr hotī thī
magar ab jis taraf bhī dekhtā huuñ zar-parastī hai
kahin par zindagi ka nam-e-nami mauj-masti hai
kahin par aadmiyyat zinda rahne ko tarasti hai
jahan-e-zindagi ki qudrati taswir hain donon
kahin sukha paDa hai aur kahin barish barasti hai
teri daulat tujhe kya faiz pahunchaegi tere ba'd
mayassar zindagi jitni bhi qimat par ho sasti hai
kisi qabil mein hota to kabhi ka qatl ho jata
ki har ahl-e-salahiyyat ki dushman meri basti hai
mohabbat hi kiya karti hai aamada baghawat par
mohabbat hi wafadari ki zanjiron mein kasti hai
kama lena magar hargiz na karna pyar daulat se
ye nagin apne shaida ko nihattha kar ke Dasti hai
kabhi 'talib' yahan insaniyat ki qadr hoti thi
magar ab jis taraf bhi dekhta hun zar-parasti hai
- Book : Almaas (Pg. 72)
- Author : Ayaz Ahmad Talib
- Publication : Ayaz Ahmad Talib (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.