kahin pe aankh kahin lab pe jaan di humne
kahīñ pe aañkh kahīñ lab pe jaan dī ham ne
isī tarah se gañvā dī hai zindagī ham ne
tumhāre baare meñ kuchh der to ġhalat sochā
phir apne aap pe talvār taan lī ham ne
ye kis maqām pe aa kar hamārā zabt gayā
ye kaise shaḳhs se saa.e kī baat kī ham ne
phir us ke baa'd huā yuuñ ki tum kahīñ na mile
jahāñ-jahāñ bhī talāshī hai zindagī ham ne
hameñ Thikāna thā darkār aur use panchhī
so ek peḌ se kar lī hai dostī ham ne
us ek baat pe dukh bhī huā hai hairat bhī
bichhaḌ ke tum se liye saañs vāqa'ī ham ne
tumhāre shahr meñ aise guzārā mushkil thā
so apne ruḳh se batā dī hai sādgī ham ne
majāl kyā thī ki dīvār dar na ho jaatī
anā-parast the so baat hī na kī ham ne
tumhāre logoñ kī jādūgarī kā kyā hogā
zamīñ pe pheñk dī apnī agar chhaḌī ham ne
kisī kī ek na chal paa.ī 'ātif' is dil par
ki pahle shaḳhs ko maanā hai āḳhirī ham ne
kahin pe aankh kahin lab pe jaan di hum ne
isi tarah se ganwa di hai zindagi hum ne
tumhaare bare mein kuchh der to ghalat socha
phir apne aap pe talwar tan li hum ne
ye kis maqam pe aa kar hamara zabt gaya
ye kaise shaKHs se sae ki baat ki hum ne
phir us ke ba'd hua yun ki tum kahin na mile
jahan-jahan bhi talashi hai zindagi hum ne
hamein Thikana tha darkar aur use panchhi
so ek peD se kar li hai dosti hum ne
us ek baat pe dukh bhi hua hai hairat bhi
bichhaD ke tum se liye sans waqa'i hum ne
tumhaare shahr mein aise guzara mushkil tha
so apne ruKH se bata di hai sadgi hum ne
majal kya thi ki diwar dar na ho jati
ana-parast the so baat hi na ki hum ne
tumhaare logon ki jadugari ka kya hoga
zamin pe phenk di apni agar chhaDi hum ne
kisi ki ek na chal pai 'atif' is dil par
ki pahle shaKHs ko mana hai aaKHiri hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.