kahin pe chand kahin par sitara bandhna hai
kahīñ pe chāñd kahīñ par sitārā bāñdhnā hai
mujhe nizām ye saare kā saarā bāñdhnā hai
maiñ chāhtā huuñ ki bandish meñ merā naam na ho
nazar bachā ke mujhe ye nazārā bāñdhnā hai
abhī zamīñ se mujhe ashk bhī uThāne haiñ
abhī namak se nazar kā ḳhasāra bāñdhnā hai
maiñ kachchā dhāgā liye chal rahā huuñ paanī par
ikahre ism se dohrā kinārā bāñdhnā hai
hamārī ham-rahī ḳhvāhish nahīñ zarūrat hai
bas ik sahāre se duujā sahārā bāñdhnā hai
kahin pe chand kahin par sitara bandhna hai
mujhe nizam ye sare ka sara bandhna hai
main chahta hun ki bandish mein mera nam na ho
nazar bacha ke mujhe ye nazara bandhna hai
abhi zamin se mujhe ashk bhi uThane hain
abhi namak se nazar ka KHasara bandhna hai
main kachcha dhaga liye chal raha hun pani par
ikahre ism se dohra kinara bandhna hai
hamari ham-rahi KHwahish nahin zarurat hai
bas ek sahaare se duja sahaara bandhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.