kahin pe dhup kahin saeban hota hai
kahīñ pe dhuup kahīñ sā.ebān hotā hai
musāfiroñ kā yahī imtihān hotā hai
imārateñ nahīñ girtīñ vahāñ mohabbat kī
bhale hī gaañv meñ kachchā makān hotā hai
bahut se log to rahte haiñ ab bhī mahloñ meñ
kisī ke sar pe faqat āsmān hotā hai
gañvā ke niiñd ugaa.e haiñ ḳhvāb āñkhoñ meñ
har ek fasl kā kuchh to lagān hotā hai
yaqīn ho to mirī baat yūñhī sun lo tum
halaf uThā ke to jhūTā bayān hotā hai
phisalnā girnā sañbhalnā phir uTh ke chal denā
inhīñ tarīqoñ se bachcha javān hotā hai
jab apne logoñ kī nazreñ badaltī haiñ 'saritā'
zabān vaalā vahīñ be-zabān hotā hai
kahin pe dhup kahin saeban hota hai
musafiron ka yahi imtihan hota hai
imaraten nahin girtin wahan mohabbat ki
bhale hi ganw mein kachcha makan hota hai
bahut se log to rahte hain ab bhi mahlon mein
kisi ke sar pe faqat aasman hota hai
ganwa ke nind ugae hain KHwab aankhon mein
har ek fasl ka kuchh to lagan hota hai
yaqin ho to meri baat yunhi sun lo tum
halaf uTha ke to jhuTa bayan hota hai
phisalna girna sanbhalna phir uTh ke chal dena
inhin tariqon se bachcha jawan hota hai
jab apne logon ki nazren badalti hain 'sarita'
zaban wala wahin be-zaban hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.