kahin pe mal-o-duniya ki KHaridari ki baaten hain
kahīñ pe māl-o-duniya kī ḳharīdārī kī bāteñ haiñ
kahīñ pe din-ba-din baḌhtī riyā-kārī kī bāteñ haiñ
bhare bāzār meñ sach kī dukānoñ par hai sannāTā
tijārat jhuuT kī chamkī hai makkārī kī bāteñ haiñ
kahīñ roze pe roze sirf paanī pī ke khulte haiñ
kahīñ bas naam pe rozoñ ke iftārī kī bāteñ haiñ
kahīñ khānā hī khānā hai magar piine se kab fursat
kahīñ pe bhuuk kī bastī meñ bīmārī kī bāteñ haiñ
zamāne aur the vo jin meñ kuchh darvesh hote the
na.e is daur meñ har samt bad-kārī kī bāteñ haiñ
vafā īsār qurbānī vahāñ ab log kyā jāneñ
jahāñ nīlām hote zarf-o-ḳhuddārī kī bāteñ haiñ
kabhī maz.hab thā dil meñ ab hai daulat kī panāhoñ meñ
ḳhudā kā naam le kar bhī gunahgārī kī bāteñ haiñ
kisī ke zaḳhm pe marham 'hinā' rakhtā nahīñ koī
namak lahjoñ ne gholā qalb-āzārī kī bāteñ haiñ
kahin pe mal-o-duniya ki KHaridari ki baaten hain
kahin pe din-ba-din baDhti riya-kari ki baaten hain
bhare bazar mein sach ki dukanon par hai sannaTa
tijarat jhuT ki chamki hai makkari ki baaten hain
kahin roze pe roze sirf pani pi ke khulte hain
kahin bas nam pe rozon ke iftari ki baaten hain
kahin khana hi khana hai magar pine se kab fursat
kahin pe bhuk ki basti mein bimari ki baaten hain
zamane aur the wo jin mein kuchh darwesh hote the
nae is daur mein har samt bad-kari ki baaten hain
wafa isar qurbani wahan ab log kya jaanen
jahan nilam hote zarf-o-KHuddari ki baaten hain
kabhi mazhab tha dil mein ab hai daulat ki panahon mein
KHuda ka nam le kar bhi gunahgari ki baaten hain
kisi ke zaKHm pe marham 'hina' rakhta nahin koi
namak lahjon ne ghola qalb-azari ki baaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.