kahin pe sang kahin Khaar ban gae hote
kahīñ pe sang kahīñ ḳhaar ban ga.e hote
vo jā rahā thā to dīvār ban ga.e hote
tumhārī tarh agar jam' māl-o-zar karte
to ik qabīle ke sardār ban ga.e hote
vo ik nigāh-e-karam is taraf agar karte
ye jitne dasht haiñ gulzār ban ga.e hote
kisī ke saath to rishta nibāh kā hotā
kisī ke dil ke to āzār ban ga.e hote
ham itne dard-o-alam jhelne ke baa'd 'asar'
kisī ke lab pe to iqrār ban ga.e hote
kahin pe sang kahin KHar ban gae hote
wo ja raha tha to diwar ban gae hote
tumhaari tarh agar jam' mal-o-zar karte
to ek qabile ke sardar ban gae hote
wo ek nigah-e-karam is taraf agar karte
ye jitne dasht hain gulzar ban gae hote
kisi ke sath to rishta nibah ka hota
kisi ke dil ke to aazar ban gae hote
hum itne dard-o-alam jhelne ke ba'd 'asar'
kisi ke lab pe to iqrar ban gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.