kahin qiyam na tha qafila safar mein raha
kahīñ qiyām na thā qāfila safar meñ rahā
ġhubār silsila-dar-silsila nazar meñ rahā
uḌaa.ī ḳhāk-e-talab garmi-e-nafas ne mirī
rahā na maiñ to bagūla sā rah-guzar meñ rahā
jab us ke dar se maiñ palTā to koī raah na thī
'ajab tilism-e-mulāqāt ke asar meñ rahā
mirī shikast ḳhalāoñ meñ āshkār huī
vajūd-e-sang se TuuTā to maiñ sharar meñ rahā
huā vo sho'la-e-hastī kā raqs dariyā meñ
ki us kā naqsh-e-gumāñ muddatoñ bhañvar meñ rahā
kahin qiyam na tha qafila safar mein raha
ghubar silsila-dar-silsila nazar mein raha
uDai KHak-e-talab garmi-e-nafas ne meri
raha na main to bagula sa rah-guzar mein raha
jab us ke dar se main palTa to koi rah na thi
'ajab tilism-e-mulaqat ke asar mein raha
meri shikast KHalaon mein aashkar hui
wajud-e-sang se TuTa to main sharar mein raha
hua wo sho'la-e-hasti ka raqs dariya mein
ki us ka naqsh-e-guman muddaton bhanwar mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.