kahin se aati sada hai koi
kahīñ se aatī sadā hai koī
sadā nahīñ hai duā hai koī
kahāñ pata thī ye baat mujh ko
ki mujh meñ kab se chhupā hai koī
samajh rahe the jise jazīra
samundaroñ meñ ghirā hai koī
chamak rahā hai jo chāñd ban ke
yahīñ se uTh kar gayā hai koī
zarā sambhal kar qadam baḌhānā
isī safar meñ luTā hai koī
vafā bhī de dī anā bhī de dī
'sabā' se phir kyuuñ ḳhafā hai koī
kahin se aati sada hai koi
sada nahin hai dua hai koi
kahan pata thi ye baat mujh ko
ki mujh mein kab se chhupa hai koi
samajh rahe the jise jazira
samundaron mein ghira hai koi
chamak raha hai jo chand ban ke
yahin se uTh kar gaya hai koi
zara sambhal kar qadam baDhana
isi safar mein luTa hai koi
wafa bhi de di ana bhi de di
'saba' se phir kyun KHafa hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.