kahin se tir jo aaya kaman se pahle
kahīñ se tiir jo aayā kamān se pahle
parinda zaḳhmī huā hai uḌaan se pahle
jahāñ bhī ho vo guzar ke yahīñ se jā.egī
mirā makān hai us ke makān se pahle
ḳhudā ke hukm se pahle nahīñ marūñgā maiñ
namāz hotī nahīñ hai azaan se pahle
mire makān ko ġhurbat ne kar diyā taqsīm
barāmda thā yahāñ is dukān se pahle
nigāh milne na paa.ī ki dil meñ dard uThā
maiñ kāmyāb huā imtihān se pahle
kahin se tir jo aaya kaman se pahle
parinda zaKHmi hua hai uDan se pahle
jahan bhi ho wo guzar ke yahin se jaegi
mera makan hai us ke makan se pahle
KHuda ke hukm se pahle nahin marunga main
namaz hoti nahin hai azan se pahle
mere makan ko ghurbat ne kar diya taqsim
baramda tha yahan is dukan se pahle
nigah milne na pai ki dil mein dard uTha
main kaamyab hua imtihan se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.