kahin shab ke canwas par naya din ubhar raha hai
kahīñ shab ke canvas par nayā din ubhar rahā hai
mirā dāġh-e-nā-rasā.ī mirā naqsh ban gayā hai
maiñ chalā huuñ jangaloñ se kisī bāġh-e-ātishīñ tak
mirā zaad ḳhār-o-ḳhas hai mirā rang uḌā huā hai
jo hai bazm ham se ḳhālī vo rahegī ġham se ḳhālī
jo jagah ḳhushī se pur hai vo hamārā hī ḳhalā hai
abhī dekhiyegā har-sū mirā ḳhāk-bos honā
ki havā.eñ chal paḌī haiñ zar-e-gul bikhar chalā hai
dam-e-rafta kī sifat hai shab-o-roz meñ na honā
jahāñ vaqt chal rahā hai vahāñ merā kaam kyā hai
maiñ yakāyak apne ġham se tire ġham meñ aa gayā huuñ
abhī dhuup paḌ rahī thī abhī meñh baras rahā hai
mirā bā.is-e-numū hai tire ġham kī zahr-nākī
jo fazāoñ meñ dhuāñ hai vo daraḳht kī ġhizā hai
mutaharrik is qadar hai mirā gard-bād-e-hastī
koī duur se jo dekhe to lage rukā huā hai
kahīñ chāñd kī kashish se huā madd-o-jazr paidā
kisī tāb-e-ruḳh se mujh meñ ye talātum uTh rahā hai
jise aap kah rahe haiñ ki ġhilāf hai havā kā
vo zamīñ ke chaar jānib mirī aah kī fazā hai
inhī dil kī saḳhtiyoñ se kabhī ashk ubal paḌeñge
ki jahāñ pahāḌiyāñ hoñ vahīñ chashma phūTtā hai
kahīñ misl-e-ā.ina haiñ mutavāzī kā.enāteñ
vahāñ ek aadmī hai jo hamārī shakl kā hai
vo jo vast-e-sīna meñ hai vo fazā nahīñ kahīñ bhī
vahāñ mausam aur kuchh hai jahāñ ḳhatt-e-istavā hai
maiñ paḌā huā huuñ ḳhud meñ kahīñ be vajūd 'shāhid'
mirī ruuh gum-shuda hai mirā jism lāpata hai
kahin shab ke canwas par naya din ubhar raha hai
mera dagh-e-na-rasai mera naqsh ban gaya hai
main chala hun jangalon se kisi bagh-e-atishin tak
mera zad KHar-o-KHas hai mera rang uDa hua hai
jo hai bazm hum se KHali wo rahegi gham se KHali
jo jagah KHushi se pur hai wo hamara hi KHala hai
abhi dekhiyega har-su mera KHak-bos hona
ki hawaen chal paDi hain zar-e-gul bikhar chala hai
dam-e-rafta ki sifat hai shab-o-roz mein na hona
jahan waqt chal raha hai wahan mera kaam kya hai
main yakayak apne gham se tere gham mein aa gaya hun
abhi dhup paD rahi thi abhi meinh baras raha hai
mera bais-e-numu hai tere gham ki zahr-naki
jo fazaon mein dhuan hai wo daraKHt ki ghiza hai
mutaharrik is qadar hai mera gard-baad-e-hasti
koi dur se jo dekhe to lage ruka hua hai
kahin chand ki kashish se hua madd-o-jazr paida
kisi tab-e-ruKH se mujh mein ye talatum uTh raha hai
jise aap kah rahe hain ki ghilaf hai hawa ka
wo zamin ke chaar jaanib meri aah ki faza hai
inhi dil ki saKHtiyon se kabhi ashk ubal paDenge
ki jahan pahaDiyan hon wahin chashma phuTta hai
kahin misl-e-aina hain mutawazi kaenaten
wahan ek aadmi hai jo hamari shakl ka hai
wo jo wast-e-sina mein hai wo faza nahin kahin bhi
wahan mausam aur kuchh hai jahan KHatt-e-istawa hai
main paDa hua hun KHud mein kahin be wajud 'shahid'
meri ruh gum-shuda hai mera jism lapata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.