kahin tirgi kahin raushni yahi is jahan ka nizam hai
kahīñ tīrgī kahīñ raushnī yahī is jahāñ kā nizām hai
ye to apnā apnā nasīb hai kahīñ sub.h to kahīñ shaam hai
ye mohabbatoñ kā jahān hai yahāñ lamha lamha hai imtihāñ
jo na ranj-o-ġham se ho āshnā use duur hī se salām hai
mujhe mai se koī ġharaz nahīñ magar itnī baat zarūr hai
jo surūr-e-ishq na de sake vo sharāb piinā harām hai
mire shahr hī ke vo log haiñ magar un se rahiyegā bā-ḳhabar
vo kisī ke kaam na ā.eñge unheñ apne kaam se kaam hai
jise aap kahte haiñ lakhna.ū vo suḳhnavaroñ kā hai gulsitāñ
mirā naam 'prītā' hai dosto mirā lakhna.ū meñ qayām hai
kahin tirgi kahin raushni yahi is jahan ka nizam hai
ye to apna apna nasib hai kahin subh to kahin sham hai
ye mohabbaton ka jahan hai yahan lamha lamha hai imtihan
jo na ranj-o-gham se ho aashna use dur hi se salam hai
mujhe mai se koi gharaz nahin magar itni baat zarur hai
jo surur-e-ishq na de sake wo sharab pina haram hai
mere shahr hi ke wo log hain magar un se rahiyega ba-KHabar
wo kisi ke kaam na aaenge unhen apne kaam se kaam hai
jise aap kahte hain lakhnau wo suKHnawaron ka hai gulsitan
mera nam 'prita' hai dosto mera lakhnau mein qayam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.