Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin to aa ke ruke bhi musafiri meri

Aashiq Jafri

kahin to aa ke ruke bhi musafiri meri

Aashiq Jafri

MORE BYAashiq Jafri

    kahīñ to aa ke ruke bhī musāfirī merī

    ki mujh ko DhūñDhtī rahtī hai be-gharī merī

    maiñ jis ke vāste ḳhud ko bhulā.e baiThā huuñ

    usī ko bhuul na jaa.e ye sādgī merī

    kabhī bhī khul ke kisī se kalām kar na sakā

    tamām umr fazā thī ajnabī merī

    hai raushnī havāla parāyā des magar

    taras rahī hai ujāloñ ko zindagī merī

    bas ik tamannā rahtī hai jo satātī hai

    yahī ki tujh ko pasand aa.e shā.irī merī

    vafā raah ko is taur se kiyā raushan

    ki yaad aa.egī duniyā ko āshiqī merī

    kahin to aa ke ruke bhi musafiri meri

    ki mujh ko DhunDhti rahti hai be-ghari meri

    main jis ke waste KHud ko bhulae baiTha hun

    usi ko bhul na jae ye sadgi meri

    kabhi bhi khul ke kisi se kalam kar na saka

    tamam umr faza hi thi ajnabi meri

    hai raushni ka hawala paraya des magar

    taras rahi hai ujalon ko zindagi meri

    bas ek tamanna si rahti hai jo satati hai

    yahi ki tujh ko pasand aae shairi meri

    wafa ki rah ko is taur se kiya raushan

    ki yaad aaegi duniya ko aashiqi meri

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 398)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now