kahin to luTna hai phir naqd-e-jaan bachana kya
kahīñ to luTnā hai phir naqd-e-jāñ bachānā kyā
ab aa ga.e haiñ to maqtal se bach ke jaanā kyā
in āñdhiyoñ meñ bhalā kaun idhar se guzregā
darīche kholnā kaisā diye jalānā kyā
jo tiir būḌhoñ kī fariyād tak nahīñ sunte
to un ke sāmne bachchoñ kā muskurānā kyā
maiñ gir gayā huuñ to ab siine se utar aao
diler dushmano TuuTe makāñ ko Dhānā kyā
na.ī zamīñ kī havā.eñ bhī jān-levā haiñ
na lauTne ke liye kashtiyāñ jalānā kyā
kanār-e-āb khaḌī khetiyāñ ye sochtī haiñ
vo narm-rau hai nadī kā magar Thikānā kyā
kahin to luTna hai phir naqd-e-jaan bachana kya
ab aa gae hain to maqtal se bach ke jaana kya
in aandhiyon mein bhala kaun idhar se guzrega
dariche kholna kaisa diye jalana kya
jo tir buDhon ki fariyaad tak nahin sunte
to un ke samne bachchon ka muskurana kya
main gir gaya hun to ab sine se utar aao
diler dushmano TuTe makan ko Dhana kya
nai zamin ki hawaen bhi jaan-lewa hain
na lauTne ke liye kashtiyan jalana kya
kanar-e-ab khaDi khetiyan ye sochti hain
wo narm-rau hai nadi ka magar Thikana kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.