kahin to pyas ki shiddat ne mara
kahīñ to pyaas kī shiddat ne maarā
kahīñ is dasht meñ vahshat ne maarā
paḌī aadat kisī ko chāhne kī
mujhe merī isī aadat ne maarā
vo jis ko āsmānoñ kī talab thī
use ghar kī shikasta chhat ne maarā
nazar meñ hamla-āvar kī na the ham
hameñ to said kī sohbat ne maarā
vo jin ke hausloñ meñ dam nahīñ hai
vo socheñge unheñ qismat ne maarā
koī sūrat pe us kī mar-miTā aur
kisī ko yaar kī sīrat ne maarā
bilā taftīsh rab maanā kisī ko
hameñ 'afrang' yuuñ ġhaflat ne maarā
kahin to pyas ki shiddat ne mara
kahin is dasht mein wahshat ne mara
paDi aadat kisi ko chahne ki
mujhe meri isi aadat ne mara
wo jis ko aasmanon ki talab thi
use ghar ki shikasta chhat ne mara
nazar mein hamla-awar ki na the hum
hamein to said ki sohbat ne mara
wo jin ke hauslon mein dam nahin hai
wo sochenge unhen qismat ne mara
koi surat pe us ki mar-miTa aur
kisi ko yar ki sirat ne mara
bila taftish rab mana kisi ko
hamein 'afrang' yun ghaflat ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.