kahin uDa na le jaen ye aandhiyan mujhko
kahīñ uḌā na le jaa.eñ ye āñdhiyāñ mujh ko
chhupā le bādaloñ meñ aaj āsmāñ mujh ko
jo kar chukā hai jalā kar kabhī dhuāñ mujh ko
vo aaj DhūñDh rahā thā yahāñ-vahāñ mujh ko
ye bār-bār chalī aatī haiñ jo paas mire
samajhtī haiñ koī sāhil ye kashtiyāñ mujh ko
mahak gulāb ke jaisī hai tere chhūne meñ
talāsh kartī rahīñ kitnī titliyāñ mujh ko
chhupātā phirtā rahā 'ishq jo zamāna se
mile haiñ us kī mohabbat ke kuchh nishāñ mujh ko
ab ik taraf hai vafā aur ik taraf hai qazā
ḳhudā ne rakkhā kahāñ in ke darmiyāñ mujh ko
koī to yaad yahāñ kartā rahtā hai 'sāgar'
jo kar rahī haiñ pareshān hichkiyāñ mujh ko
kahin uDa na le jaen ye aandhiyan mujh ko
chhupa le baadalon mein aaj aasman mujh ko
jo kar chuka hai jala kar kabhi dhuan mujh ko
wo aaj DhunDh raha tha yahan-wahan mujh ko
ye bar-bar chali aati hain jo pas mere
samajhti hain koi sahil ye kashtiyan mujh ko
mahak gulab ke jaisi hai tere chhune mein
talash karti rahin kitni titliyan mujh ko
chhupata phirta raha 'ishq jo zamana se
mile hain us ki mohabbat ke kuchh nishan mujh ko
ab ek taraf hai wafa aur ek taraf hai qaza
KHuda ne rakkha kahan in ke darmiyan mujh ko
koi to yaad yahan karta rahta hai 'sagar'
jo kar rahi hain pareshan hichkiyan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.