kahin wo dekh le daman ko tar karte hue
kahīñ vo dekh le dāman ko taar karte hue
bahār meñ bhī haiñ ham intizār karte hue
fazā nahīñ hai kisī tarh bhī shafaq-andām
palaT rahe haiñ use sogvār karte hue
ab aur kyā ḳhas-o-ḳhāshāk ho raheñge ham
tamām ho to ga.e intizār karte hue
vo aa.ina hai so ham us ke sāmne aa.e
hazār tarh se dil ko ġhubār karte hue
guzārte haiñ ye shab shorish-e-tamannā meñ
dil-o-nigāh ko be-iḳhtiyār karte hue
nahīñ hai gardish-e-ayyām kī ḳhabar us ko
ki din guzartā hai kyā kyā shumār karte hue
aur us ke naqsh pe laġhzish hunar ne paa.ī hai
ki rang hech lage haiñ nikhār karte hue
kahin wo dekh le daman ko tar karte hue
bahaar mein bhi hain hum intizar karte hue
faza nahin hai kisi tarh bhi shafaq-andam
palaT rahe hain use sogwar karte hue
ab aur kya KHas-o-KHashak ho rahenge hum
tamam ho to gae intizar karte hue
wo aaina hai so hum us ke samne aae
hazar tarh se dil ko ghubar karte hue
guzarte hain ye shab shorish-e-tamanna mein
dil-o-nigah ko be-iKHtiyar karte hue
nahin hai gardish-e-ayyam ki KHabar us ko
ki din guzarta hai kya kya shumar karte hue
aur us ke naqsh pe laghzish hunar ne pai hai
ki rang hech lage hain nikhaar karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.