kahin ye dard ka dhaga bhi yun sulajhta hai
kahīñ ye dard kā dhāgā bhī yuuñ sulajhtā hai
girah jo kholeñ to dil aur bhī ulajhtā hai
vo ek baat jo dil meñ hai mere us ke liye
zabāñ se kahtā nahīñ vo magar samajhtā hai
maiñ terī āñkhoñ kī ye pyaas kis tarah dekhūñ
mire vajūd meñ bādal koī garajtā hai
ajiib chiiz hai ye ḳhūbi-e-ḳhutūt-e-badan
koī libās ho us ke badan pe sajtā hai
ye raat aur ye Dastī huī sī tanhā.ī
lahū kā saaz 'qamar' tan-badan meñ bajtā hai
kahin ye dard ka dhaga bhi yun sulajhta hai
girah jo kholen to dil aur bhi ulajhta hai
wo ek baat jo dil mein hai mere us ke liye
zaban se kahta nahin wo magar samajhta hai
main teri aankhon ki ye pyas kis tarah dekhun
mere wajud mein baadal koi garajta hai
ajib chiz hai ye KHubi-e-KHutut-e-badan
koi libas ho us ke badan pe sajta hai
ye raat aur ye Dasti hui si tanhai
lahu ka saz 'qamar' tan-badan mein bajta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.