kahiye ab kis se dard-e-pinhani
kahiye ab kis se dard-e-pinhani
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
kahiye ab kis se dard-e-pinhānī
ik shab-e-hijr vo bhī tūlānī
ek baaqī rahegī us kī zaat
saarā aalam hai āni-o-fānī
jām-e-jamshed be-haqīqat hai
sāqiyā de sharāb-e-raihānī
dil meñ us kī na hogī kyūñkar chaah
us kā jalva hai husn-e-kan.ānī
dil ke ā.īne meñ use dekhā
baḌh ga.ī aur merī hairānī
vahdahū-lā-sharīka-lah ke sivā
sajda kis ko kare ye peshānī
vo nigahbān apnā hai har dam
ḳhuub use aatī hai nigahbānī
us ke darbār meñ guzar kyā ho
ye faqīr aur bazm-e-sultānī
aate aate ba-mushkil aatī hai
koī āsāñ nahīñ zabāñ-dānī
kyā karegā ilaaj is kā masīh
kyā sunā.ūñ maiñ dard-e-pinhānī
vahī mushkil karegā āsāñ 'shād'
shādmānī meñ hai sab āsānī
kahiye ab kis se dard-e-pinhani
ek shab-e-hijr wo bhi tulani
ek baqi rahegi us ki zat
sara aalam hai aani-o-fani
jam-e-jamshed be-haqiqat hai
saqiya de sharab-e-raihani
dil mein us ki na hogi kyunkar chah
us ka jalwa hai husn-e-kanani
dil ke aaine mein use dekha
baDh gai aur meri hairani
wahdahu-la-sharika-lah ke siwa
sajda kis ko kare ye peshani
wo nigahban apna hai har dam
KHub use aati hai nigahbani
us ke darbar mein guzar kya ho
ye faqir aur bazm-e-sultani
aate aate ba-mushkil aati hai
koi aasan nahin zaban-dani
kya karega ilaj is ka masih
kya sunaun main dard-e-pinhani
wahi mushkil karega aasan 'shad'
shadmani mein hai sab aasani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.