kahiye kya baat ye ajib nahin
kahiye kyā baat ye 'ajīb nahīñ
dil meñ rah kar bhī vo qarīb nahīñ
kaun hai jo tire qarīb nahīñ
ik mire hī faqat nasīb nahīñ
baat bhī un se ek din ho jaa.e
baat ye bhī to kuchh 'ajīb nahīñ
dil meñ rah kar hai aañkh se ojhal
paas ho kar bhī vo qarīb nahīñ
baat to us se kar ke dekh ai dil
vo muḳhātab hai tū ḳhatīb nahīñ
nā-mukammal bahār-e-gulshan hai
phuul haiñ aur 'andalīb nahīñ
un se milnā to kuchh nahīñ mushkil
lekin aise mire nasīb nahīñ
dekhā jā.egā un kī mahfil meñ
maiñ nahīñ aaj yā raqīb nahīñ
dam dilāse haiñ dam mohabbat ke
koī hamdam nahīñ habīb nahīñ
do diloñ kā jo fāsla naape
koī us ke sivā jarīb nahīñ
hai vo duniyā meñ ek marz-e-'ishq
jis kā chāra nahīñ tabīb nahīñ
ai 'amar' vo ġharīb hī hogā
dil kā kambaḳht jo ġharīb nahīñ
kahiye kya baat ye 'ajib nahin
dil mein rah kar bhi wo qarib nahin
kaun hai jo tere qarib nahin
ek mere hi faqat nasib nahin
baat bhi un se ek din ho jae
baat ye bhi to kuchh 'ajib nahin
dil mein rah kar hai aankh se ojhal
pas ho kar bhi wo qarib nahin
baat to us se kar ke dekh ai dil
wo muKHatab hai tu KHatib nahin
na-mukammal bahaar-e-gulshan hai
phul hain aur 'andalib nahin
un se milna to kuchh nahin mushkil
lekin aise mere nasib nahin
dekha jaega un ki mahfil mein
main nahin aaj ya raqib nahin
dam dilase hain dam mohabbat ke
koi hamdam nahin habib nahin
do dilon ka jo fasla nape
koi us ke siwa jarib nahin
hai wo duniya mein ek marz-e-'ishq
jis ka chaara nahin tabib nahin
ai 'amar' wo gharib hi hoga
dil ka kambaKHt jo gharib nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.