kahkashan ishq ki hai be-sar-o-pa mere baad
kahkashāñ 'ishq kī hai be-sar-o-pā mere baa'd
baam par chāñd munavvar na huā mere baa'd
kāfir-e-husn musalmāñ na huā mere baa'd
kalima-e-'ishq kisī ne na paḌhā mere baa'd
'ishq mā'dūm huā hirs ke shahpar nikle
koī dīvāna kisī kā na huā mere baa'd
un kī āñkheñ bhī huiiñ kaif-e-namī se mahrūm
koī aañsū sar-e-dāmāñ na girā mere baa'd
tum ho mā.il-ba-jafā aur maiñ du'ā kartā huuñ
koī uThā.egā kaho dast-e-du'ā mere baa'd
mas.ala ye bhī bahut dard-bharā hai be-shak
kaun farmā.egā jānāñ se vafā mere baa'd
kahkashan 'ishq ki hai be-sar-o-pa mere ba'd
baam par chand munawwar na hua mere ba'd
kafir-e-husn musalman na hua mere ba'd
kalima-e-'ishq kisi ne na paDha mere ba'd
'ishq ma'dum hua hirs ke shahpar nikle
koi diwana kisi ka na hua mere ba'd
un ki aankhen bhi huin kaif-e-nami se mahrum
koi aansu sar-e-daman na gira mere ba'd
tum ho mail-ba-jafa aur main du'a karta hun
koi uThaega kaho dast-e-du'a mere ba'd
masala ye bhi bahut dard-bhara hai be-shak
kaun farmaega jaanan se wafa mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.