kahkashan ko toD kar sare ke sare aa gae
kahkashāñ ko toḌ kar saare ke saare aa ga.e
chāñd ko maiñ ne pukārā thā sitāre aa ga.e
sar-phire sūraj ke marne kā tamāsha dekhne
shaam ke manzar bhī bāloñ ko sañvāre aa ga.e
yaad jab maiñ ne kiyā un ko bhare mañjdhār meñ
ḳhud-ba-ḳhud kashtī meñ chal kar ye kināre aa ga.e
haañ yahī sach hai bichhaḌte vaqt apnī aañkh meñ
un kī galiyoñ ke liye rangīñ nazāre aa ga.e
prem-dhan kī bāñsurī aisī bajā.ī shyām ne
nafratoñ ke devtā bhī muñh utāre aa ga.e
mai-kashoñ kī bazm meñ thā ranj-o-ġham par tabsira
maiñ ne dī āvāz sab ulfat ke maare aa ga.e
hamd likhne ko qalam jab bhī uThā.ī hai 'shikhā'
lafz saare bā-adab bāñheñ pasāre aa ga.e
kahkashan ko toD kar sare ke sare aa gae
chand ko main ne pukara tha sitare aa gae
sar-phire suraj ke marne ka tamasha dekhne
sham ke manzar bhi baalon ko sanware aa gae
yaad jab main ne kiya un ko bhare manjdhaar mein
KHud-ba-KHud kashti mein chal kar ye kinare aa gae
han yahi sach hai bichhaDte waqt apni aankh mein
un ki galiyon ke liye rangin nazare aa gae
prem-dhan ki bansuri aisi bajai shyam ne
nafraton ke dewta bhi munh utare aa gae
mai-kashon ki bazm mein tha ranj-o-gham par tabsira
main ne di aawaz sab ulfat ke mare aa gae
hamd likhne ko qalam jab bhi uThai hai 'shikha'
lafz sare ba-adab banhen pasare aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.