kahkashan phul saba aur na jaane kya kya
kahkashāñ phuul sabā aur na jaane kyā kyā
ham tire shahr ko laa.e haiñ sajāne kyā kyā
besh-qīmat hai tirī ḳhaak javāhar se bhī
dafn āġhosh meñ tere haiñ ḳhazāne kyā kyā
haft-rangī hai tirā pairahan-e-dil-āvez
tū ne dekhe haiñ dhanak-rang zamāne kyā kyā
merī āñkhoñ meñ simaT aa.e haiñ manzar kaise
mere hoñToñ pe machalte haiñ tarāne kyā kyā
mere bachpan kā asāsa mere purkhoñ kā vaqār
tū ne dāman meñ chhupā rakkhā hai jaane kyā kyā
shahr-e-dildār se is qarya-e-nā-pursāñ tak
har qadam chhoḌ ke aa.e haiñ ḳhazāne kyā kyā
tum ne yuuñ pūchhā mirā haal ki dil bhar aayā
phir se lau dene lage daaġh purāne kyā kyā
alf-lailā tirī ab tak yūñhī jaarī saarī
ham sunāte haiñ tire sab ko fasāne kyā kyā
kyā batā.eñ tirī bāñhoñ meñ samāne ke liye
ham sadā DhūñDte rahte haiñ bahāne kyā kyā
kahkashan phul saba aur na jaane kya kya
hum tere shahr ko lae hain sajaane kya kya
besh-qimat hai teri KHak jawahar se bhi
dafn aaghosh mein tere hain KHazane kya kya
haft-rangi hai tera pairahan-e-dil-awez
tu ne dekhe hain dhanak-rang zamane kya kya
meri aankhon mein simaT aae hain manzar kaise
mere honTon pe machalte hain tarane kya kya
mere bachpan ka asasa mere purkhon ka waqar
tu ne daman mein chhupa rakkha hai jaane kya kya
shahr-e-dildar se is qarya-e-na-pursan tak
har qadam chhoD ke aae hain KHazane kya kya
tum ne yun puchha mera haal ki dil bhar aaya
phir se lau dene lage dagh purane kya kya
alf-laila teri ab tak yunhi jari sari
hum sunate hain tere sab ko fasane kya kya
kya bataen teri banhon mein samane ke liye
hum sada DhunDte rahte hain bahane kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.