kahne ko humne yun to kai sher kah diye
kahne ko ham ne yuuñ to ka.ī sher kah diye
lekin ye dil kahe ki abhī kuchh na kah sake
chehre pe apne phir se zarā ġhaur kījiye
ab vo bhī sach kahāñ hai jo kuchh aa.ina kahe
kaise kahūñ ki mere paḌosī haiñ shādmāñ
dīvār darmiyāñ thī faqat qahqahe sune
mujh ko yaqīn hai ki mirī yaad aa.egī
manzil se ruuTh jā.eñge jis vaqt rāste
sachchā.ī phuul ban ke to mahkī nahīñ magar
kuchh ḳhaar ham ne apnī zabāñ meñ chubho liye
ye husn-e-ittifāq hai phir mil ga.e 'nizām'
ab koī baat mūjib-e-ranjish na ban sake
kahne ko hum ne yun to kai sher kah diye
lekin ye dil kahe ki abhi kuchh na kah sake
chehre pe apne phir se zara ghaur kijiye
ab wo bhi sach kahan hai jo kuchh aaina kahe
kaise kahun ki mere paDosi hain shadman
diwar darmiyan thi faqat qahqahe sune
mujh ko yaqin hai ki meri yaad aaegi
manzil se ruTh jaenge jis waqt raste
sachchai phul ban ke to mahki nahin magar
kuchh KHar hum ne apni zaban mein chubho liye
ye husn-e-ittifaq hai phir mil gae 'nizam'
ab koi baat mujib-e-ranjish na ban sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.