kahne ko ho chuka hun main farigh-ba-rozgar
kahne ko ho chukā huuñ maiñ fāriġh-ba-rozgār
ālām-e-rozgār se mumkin nahīñ farār
jis dil pe sirf merā hī haq honā chāhiye
vo ab bhī mere paas hai par vaqf-e-intishār
kal bhī thā aur kal bhī rahegā bahar-lihāz
rāh-e-safar kā hissa chaman-zār ḳhār-zār
mausam hai fasl-e-gul kā magar dil ke baaġh meñ
haiñ Tahniyāñ udaas to shāḳheñ haiñ be-bahār
ḳhāzin huuñ nazm-o-nasr ke sarmā.e kā magar
mumkin nahīñ hai mujh se kitāboñ kā kārobār
naqd-o-nazar se letā hai 'āsim' bhī shaaz kaam
rakhtā nahīñ kabhī koī saudā magar udhār
kahne ko ho chuka hun main farigh-ba-rozgar
aalam-e-rozgar se mumkin nahin farar
jis dil pe sirf mera hi haq hona chahiye
wo ab bhi mere pas hai par waqf-e-intishaar
kal bhi tha aur kal bhi rahega bahar-lihaz
rah-e-safar ka hissa chaman-zar KHar-zar
mausam hai fasl-e-gul ka magar dil ke bagh mein
hain Tahniyan udas to shaKHen hain be-bahaar
KHazin hun nazm-o-nasr ke sarmae ka magar
mumkin nahin hai mujh se kitabon ka karobar
naqd-o-nazar se leta hai 'asim' bhi shaz kaam
rakhta nahin kabhi koi sauda magar udhaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.