kahne ko muKHtasar thi magar baat to hui
kahne ko muḳhtasar thī magar baat to huī
achchhā huā vafā kī shurūāt to huī
ik umr se jo bichhḌe hue the hamāre yaar
shukr-e-ḳhudā ki un se mulāqāt to huī
the chilchilātī dhuup meñ jhulse hue badan
bādal simaT ke aa ga.e barsāt to huī
shāyad ki ab sukūn mile bhāg-dauḌ se
din ne thakā diyā thā bahut raat to huī
jo shak kā khel thā vo diloñ se nikal gayā
gar jiit ho na paa.ī to phir maat to huī
kahne ko muKHtasar thi magar baat to hui
achchha hua wafa ki shuruat to hui
ek umr se jo bichhDe hue the hamare yar
shukr-e-KHuda ki un se mulaqat to hui
the chilchilati dhup mein jhulse hue badan
baadal simaT ke aa gae barsat to hui
shayad ki ab sukun mile bhag-dauD se
din ne thaka diya tha bahut raat to hui
jo shak ka khel tha wo dilon se nikal gaya
gar jit ho na pai to phir mat to hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.