kahne ko pesh kar diya nazrana-e-badan
kahne ko pesh kar diyā nazrāna-e-badan
dām-e-harīm-e-ḳhvāb meñ thā dāna-e-badan
ham muntazir the phuul khilā.enge surḳh lab
har lafz aag thā ki jalā ḳhāna-e-badan
lamhoñ ne shab ko ramz-o-kināya meñ jo sunā
raushan thā lab pe sub.h ke afsāna-e-badan
hotā hai roz dil pe balāoñ kā hī nuzūl
malba hai ḳhāk-o-ḳhūn kā kāshāna-e-badan
darvesh hai na rind na majzūb hai koī
phir kis kā ye vajūd hai begāna-e-badan
dast-e-havas na toḌ ke rakh de kahīñ use
haale meñ nuur ke hai vo durdāna-e-badan
kahne ko pesh kar diya nazrana-e-badan
dam-e-harim-e-KHwab mein tha dana-e-badan
hum muntazir the phul khilaenge surKH lab
har lafz aag tha ki jala KHana-e-badan
lamhon ne shab ko ramz-o-kinaya mein jo suna
raushan tha lab pe subh ke afsana-e-badan
hota hai roz dil pe balaon ka hi nuzul
malba hai KHak-o-KHun ka kashana-e-badan
darwesh hai na rind na majzub hai koi
phir kis ka ye wajud hai begana-e-badan
dast-e-hawas na toD ke rakh de kahin use
haale mein nur ke hai wo durdana-e-badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.