kahne ko pur-sukun magar maKHmase mein hun
kahne ko pur-sukūn magar maḳhmase meñ huuñ
barsoñ se maiñ ḳhudāyā ajab marhale meñ huuñ
manzil hai mere aage maiñ manzil ke rū-ba-rū
phir bhī maiñ chal rahā huuñ abhī rāste meñ huuñ
jhūTī gavāhiyoñ kī badaulat vo bach gayā
sach boltā huā maiñ abhī kaTghare meñ huuñ
sach baat kahnā jab se shurūa maiñ ne kar diyā
tab se khaḌā maiñ jaise kisī karbale meñ huuñ
kahne ko pur-sukun magar maKHmase mein hun
barson se main KHudaya ajab marhale mein hun
manzil hai mere aage main manzil ke ru-ba-ru
phir bhi main chal raha hun abhi raste mein hun
jhuTi gawahiyon ki badaulat wo bach gaya
sach bolta hua main abhi kaTghare mein hun
sach baat kahna jab se shurua main ne kar diya
tab se khaDa main jaise kisi karbale mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.