Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahne ko to sab kuchh achchha hota hai

Sadia Swera

kahne ko to sab kuchh achchha hota hai

Sadia Swera

MORE BYSadia Swera

    kahne ko to sab kuchh achchhā hotā hai

    lekin asl meñ kaun kisī hotā hai

    kuchh chehre tasvīr meñ achchhe aate haiñ

    kisī kisī apnā chehra hotā hai

    dil par girte aañsū kis ne dekhe haiñ

    rone se ġham charchā hotā hai

    phir us āñkheñ raushan ho jaatī haiñ

    jo hasnain ke ġham meñ royā hotā hai

    ḳhvāboñ ke shahzāde lutf uThāte haiñ

    dīvānoñ muft meñ ḳharcha hotā hai

    maiñ chāhe jitne raste tabdīl karūñ

    vo mere raste meñ baiThā hotā hai

    vo dariyā meñ kuud bhī saktā hai jis ne

    us aañkh meñ aañsū dekhā hotā hai

    chāñd se merī nisbat yuuñ bhī bantī hai

    us ke ruḳh nuur bhī aisā hotā hai

    kahne ko to sab kuchh achchha hota hai

    lekin asl mein kaun kisi ka hota hai

    kuchh chehre taswir mein achchhe aate hain

    kisi kisi ka apna chehra hota hai

    dil par girte aansu kis ne dekhe hain

    rone se hi gham ka charcha hota hai

    phir us ki aankhen raushan ho jati hain

    jo hasnain ke gham mein roya hota hai

    KHwabon ke shahzade lutf uThate hain

    diwanon ka muft mein KHarcha hota hai

    main chahe jitne raste tabdil karun

    wo mere raste mein baiTha hota hai

    wo dariya mein kud bhi sakta hai jis ne

    us ki aankh mein aansu dekha hota hai

    chand se meri nisbat yun bhi banti hai

    us ke ruKH ka nur bhi aisa hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now