kahne se ghair ke na karen imtihan aap
kahne se ġhair ke na kareñ imtihān aap
pachhtā.eñge vagarna bahut merī jaan aap
be-jurm ham se ho ke ḳhafā mehrbān aap
chhuḌvāte haiñ ḳhudā kī qasam apnā dhyān aap
maiñ aur shikva aap kā ġhairoñ ke sāmne
ye vahm ye ḳhyāl-e-bad aur ye gumān aap
ai ishq tāb-e-sadma-e-ġham mujh meñ ab nahīñ
bezār zindagī se huuñ maiñ nā-tavān aap
mar-mar ke ham ne rashk-e-masīhā kiyā tumheñ
ham se rakheñ dimāġh sar-e-āsmān aap
shāyad sitam se haath uThāyā raqīb ne
rahte haiñ mere haal pe jo mehrbān aap
ham kyoñ ilaaj sīna-e-majrūh kā kareñ
jaate raheñge zaḳhm-e-jigar ke nishān aap
dām-e-balā-e-zulf meñ dil ko phañsā.ūñ kyoñ
Dālūñ maiñ is azaab meñ kyoñ apnī jaan aap
manzūr hai tumhīñ ko jalānā mirā jo roz
karte haiñ ishq-e-ġhair kā aakar bayān aap
vo shoḳh pur-jafā-o-sitam aur ḳhudā kā Dar
rakhte haiñ apne dil meñ 'hayā' kyā gumān aap
kahne se ghair ke na karen imtihan aap
pachhtaenge wagarna bahut meri jaan aap
be-jurm hum se ho ke KHafa mehrban aap
chhuDwate hain KHuda ki qasam apna dhyan aap
main aur shikwa aap ka ghairon ke samne
ye wahm ye KHyal-e-bad aur ye guman aap
ai ishq tab-e-sadma-e-gham mujh mein ab nahin
bezar zindagi se hun main na-tawan aap
mar-mar ke hum ne rashk-e-masiha kiya tumhein
hum se rakhen dimagh sar-e-asman aap
shayad sitam se hath uThaya raqib ne
rahte hain mere haal pe jo mehrban aap
hum kyon ilaj sina-e-majruh ka karen
jate rahenge zaKHm-e-jigar ke nishan aap
dam-e-bala-e-zulf mein dil ko phansaun kyon
Dalun main is azab mein kyon apni jaan aap
manzur hai tumhin ko jalana mera jo roz
karte hain ishq-e-ghair ka aakar bayan aap
wo shoKH pur-jafa-o-sitam aur KHuda ka Dar
rakhte hain apne dil mein 'haya' kya guman aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.