kahne wale zaKHmi hain sunne wale ghail hain
kahne vaale zaḳhmī haiñ sunñe vaale ghā.il haiñ
tere paas ai duniyā kis qadar masā.il haiñ
maslahat ne baḳhshī hai dohrī shaḳhsiyat ham ko
dostī ke qaa.il haiñ dushmanī pe maa.il haiñ
ḳhushk-lab zamīnoñ se kis tarah mileñ bādal
mausamoñ kī dīvāreñ rāstoñ meñ haa.il haiñ
aql kī kamānoñ meñ tiir joḌ kar ulTe
ham shikār kī dhun meñ ḳhud-kushī pe maa.il haiñ
justujū na.e-pan kī irtiqā kā mehvar hai
ham bhī is maqūle ke ai 'hayāt' qaa.il haiñ
kahne wale zaKHmi hain sunne wale ghail hain
tere pas ai duniya kis qadar masail hain
maslahat ne baKHshi hai dohri shaKHsiyat hum ko
dosti ke qail hain dushmani pe mail hain
KHushk-lab zaminon se kis tarah milen baadal
mausamon ki diwaren raston mein hail hain
aql ki kamanon mein tir joD kar ulTe
hum shikar ki dhun mein KHud-kushi pe mail hain
justuju nae-pan ki irtiqa ka mehwar hai
hum bhi is maqule ke ai 'hayat' qail hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.