kahni hai koi baat to mujhse kaha karen
kahnī hai koī baat to mujh se kahā kareñ
har 'ām-o-tām se na mirā tazkira kareñ
kahtī hai shab-navardī ki tanhā guzāreñ raat
tanhā.ī kah rahī hai chalo rābta kareñ
bashindagān-e-shahr haiñ pahle se bad-gumān
raa.ī ko dhun ke aur na parbat khaḌā kareñ
bahrūpiyoñ ke shahr meñ khoyā hai merā dost
mardum-shanās jo bhī haiñ chal kar pata kareñ
zindān-e-ishtiyāq meñ jis ne guzārī hai
āñkhoñ ko us ke chuum leñ panchhī rihā kareñ
baiThā hai ek vahshī parinda jo peḌ par
vo chāhtā hai ruuh ko tan se judā kareñ
ham ko udāsiyoñ se pare aur bhī haiñ kaam
kyūñkar darūn-e-zāt se har dam laḌā kareñ
kahni hai koi baat to mujh se kaha karen
har 'am-o-tam se na mera tazkira karen
kahti hai shab-nawardi ki tanha guzaren raat
tanhai kah rahi hai chalo rabta karen
bashindagan-e-shahr hain pahle se bad-guman
rai ko dhun ke aur na parbat khaDa karen
bahrupiyon ke shahr mein khoya hai mera dost
mardum-shanas jo bhi hain chal kar pata karen
zindan-e-ishtiyaq mein jis ne guzari hai
aankhon ko us ke chum len panchhi riha karen
baiTha hai ek wahshi parinda jo peD par
wo chahta hai ruh ko tan se juda karen
hum ko udasiyon se pare aur bhi hain kaam
kyunkar darun-e-zat se har dam laDa karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.