kaho ek dusre ki kab zarurat ho gae hum tum
kaho ek dusre ki kab zarurat ho gae hum tum
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
kaho ik dūsre kī kab zarūrat ho ga.e ham tum
bhalā kaise giraftār-e-mohabbat ho ga.e ham tum
anā adl aatmā sach sab kā saudā yaar kar baiThe
sitam hai is tarah se nazr-e-ġhurbat ho ga.e ham tum
mohabbat ke muqaddas mohtaram māhaul meñ rah kar
zarā dekho to kitne ḳhūbsūrat ho ga.e ham tum
ġhalat-fahmī ġhurūr-o-shān-o-zid aur vahm ke hāthoñ
bas ik pal meñ mohabbat se adāvat ho ga.e ham tum
zahe qismat ai hamdam apne fart-e-ishq ke sadqe
junūñ kī ek tārīḳhī hikāyat ho ga.e ham tum
chhaTe jab bad-gumānī ke añdhere tab samajh paa.e
ki tark-e-ishq se mahrūm-e-ne.amat ho ga.e ham tum
hamārī dostī ko dekh kar kuḌhte haiñ bechāre
jahāñ vāloñ kī ḳhātir yaar zahmat ho ga.e ham tum
sabhī kahte haiñ tiflī meñ bahut ma.asūm bhole the
javāñ ho kar bhalā kaise qayāmat ho ga.e ham tum
kaho ek dusre ki kab zarurat ho gae hum tum
bhala kaise giraftar-e-mohabbat ho gae hum tum
ana adl aatma sach sab ka sauda yar kar baiThe
sitam hai is tarah se nazr-e-ghurbat ho gae hum tum
mohabbat ke muqaddas mohtaram mahaul mein rah kar
zara dekho to kitne KHubsurat ho gae hum tum
ghalat-fahmi ghurur-o-shan-o-zid aur wahm ke hathon
bas ek pal mein mohabbat se adawat ho gae hum tum
zahe qismat ai hamdam apne fart-e-ishq ke sadqe
junun ki ek tariKHi hikayat ho gae hum tum
chhaTe jab bad-gumani ke andhere tab samajh pae
ki tark-e-ishq se mahrum-e-neamat ho gae hum tum
hamari dosti ko dekh kar kuDhte hain bechaare
jahan walon ki KHatir yar zahmat ho gae hum tum
sabhi kahte hain tifli mein bahut masum bhole the
jawan ho kar bhala kaise qayamat ho gae hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.