kaho un se ki aa jaen na mujhko ab sataen wo
kaho un se ki aa jaa.eñ na mujh ko ab satā.eñ vo
kareñ vo pyaar jī bhar ke na ab lekin rulā.eñ vo
mohabbat ruuTh jā.egī na gar iz.hār ho paayā
kaho un se ki ab ke baar mat duurī baḌhā.eñ vo
maiñ un bāñhoñ meñ ab sab kuchh yaqīnan bhuul jā.ūñgī
mire dil kī ye bintī hai ki sāñsoñ meñ samā.eñ vo
koī un ko ye batlā.e maiñ un se pyaar kartī huuñ
maiñ un se dil lagā baiThī huuñ dil mujh se lagā.eñ vo
ye bārish gungunātī hai ye būñdeñ muskurātī haiñ
'duā' kā un se kahnā hai ki ab sab ko batā.eñ vo
kaho un se ki aa jaen na mujh ko ab sataen wo
karen wo pyar ji bhar ke na ab lekin rulaen wo
mohabbat ruTh jaegi na gar izhaar ho paya
kaho un se ki ab ke bar mat duri baDhaen wo
main un banhon mein ab sab kuchh yaqinan bhul jaungi
mere dil ki ye binti hai ki sanson mein samaen wo
koi un ko ye batlae main un se pyar karti hun
main un se dil laga baiThi hun dil mujh se lagaen wo
ye barish gungunati hai ye bunden muskuraati hain
'dua' ka un se kahna hai ki ab sab ko bataen wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.