kahoge tum nahin jitna wo ab utna samajhta hai
kahoge tum nahīñ jitnā vo ab utnā samajhtā hai
samay kī nabz ko ab peT kā bachcha samajhtā hai
bhale kho jaa.e vo andhā kisī anjān raste par
galī se ghar tak aane kā magar rastā samajhtā hai
ghanere jangaloñ se aa gayā hai ghar mire jab se
mirā ḳhargosh roTī ko hī ab chāra samajhtā hai
bharam un ko hai yā maiñ hī zarā huuñ 'aql se kachchī
jise dekhūñ vahī ḳhud ko bahut achchhā samajhtā hai
kahoge tum nahin jitna wo ab utna samajhta hai
samay ki nabz ko ab peT ka bachcha samajhta hai
bhale kho jae wo andha kisi anjaan raste par
gali se ghar tak aane ka magar rasta samajhta hai
ghanere jangalon se aa gaya hai ghar mere jab se
mera KHargosh roTi ko hi ab chaara samajhta hai
bharam un ko hai ya main hi zara hun 'aql se kachchi
jise dekhun wahi KHud ko bahut achchha samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.