kahta hai diwana kya
kahtā hai dīvāna kyā
sach kyā hai afsāna kyā
matlab kī is duniyā meñ
apnā kyā begāna kyā
tū bhī musāfir merī tarah
terā merā Thikānā kyā
ḳhud meñ gum haiñ jab sab log
zaḳhmoñ kā dikhlānā kyā
bādal bārish saaya dhuup
sab se dhokā khānā kyā
ġham bhī apnā ḳhushiyāñ bhī
phir ye ronā gaanā kyā
dil bhī jhuke to baat bane
yuuñ hī sar ko jhukānā kyā
bhuul gayā mujh ko ik shaḳhs
ab us kā yaad aanā kyā
tū bhī 'zafar' ḳhāmosh hai ab
band huā mai-ḳhāna kyā
kahta hai diwana kya
sach kya hai afsana kya
matlab ki is duniya mein
apna kya begana kya
tu bhi musafir meri tarah
tera mera Thikana kya
KHud mein gum hain jab sab log
zaKHmon ka dikhlana kya
baadal barish saya dhup
sab se dhoka khana kya
gham bhi apna KHushiyan bhi
phir ye rona gana kya
dil bhi jhuke to baat bane
yun hi sar ko jhukana kya
bhul gaya mujh ko ek shaKHs
ab us ka yaad aana kya
tu bhi 'zafar' KHamosh hai ab
band hua mai-KHana kya
- Book : خموش لب (Pg. 60)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.