kahta hai ehtiram ka matlab nahin pata
kahtā hai ehtirām kā matlab nahīñ pata
yā'nī use ġhulām kā matlab nahīñ pata
us ne bhī apnā husn sajāyā nahīñ kabhī
mujh ko bhī tām-jhām kā matlab nahīñ pata
us ne kiyā salām to behāl haiñ sabhī
ham ko abhī salām kā matlab nahīñ pata
mujh ko dalīl detā hai mere kalām se
matlab kī lā-kalām kā matlab nahīñ pata
maiñ be-vuzū huuñ aur vo nazdīk hai mire
āḳhir use harām kā matlab nahīñ pata
bas ek kaam ham ne kiyā hai ġhazal kahī
is ke 'alāva kaam kā matlab nahīñ pata
us shaḳhs kī nigāh ne mai-ḳhvār kar diyā
jis ko subū-o-jām kā matlab nahīñ pata
kahta hai ehtiram ka matlab nahin pata
ya'ni use ghulam ka matlab nahin pata
us ne bhi apna husn sajaya nahin kabhi
mujh ko bhi tam-jham ka matlab nahin pata
us ne kiya salam to behaal hain sabhi
hum ko abhi salam ka matlab nahin pata
mujh ko dalil deta hai mere kalam se
matlab ki la-kalam ka matlab nahin pata
main be-wuzu hun aur wo nazdik hai mere
aaKHir use haram ka matlab nahin pata
bas ek kaam hum ne kiya hai ghazal kahi
is ke 'alawa kaam ka matlab nahin pata
us shaKHs ki nigah ne mai-KHwar kar diya
jis ko subu-o-jam ka matlab nahin pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.