kahta hai mera azm ki do-gam chala hun
kahtā hai mirā azm ki do-gām chalā huuñ
aur paañv ye kahte haiñ ki sadiyoñ kā thakā huuñ
manzil kā bharam mujh pe ayaañ ho gayā yaaro
behtar hai palaT jā.ūñ jahāñ se maiñ chalā huuñ
dastūr-e-zamāna mujhe apnā.egā kyuuñ kar
maiñ sar se utārī huī beva kī ridā huuñ
sar dhuup meñ duniyā kī chhupānā nahīñ āsāñ
maiñ qad meñ har ik jism ke saa.e se baḌā huuñ
sau baar mirā ḳhuun bahāyā gayā nāhaq
sau baar maiñ ehsās kī suulī pe chaḌhā huuñ
ik 'umr mire dil ko ye ġham yaad rahegā
be-jurm tire shahr ke zindāñ meñ rahā huuñ
jis ghar kī bulandī pe mujhe naaz thā 'kāzim'
maiñ aaj usī ghar kī bulandī se girā huuñ
kahta hai mera azm ki do-gam chala hun
aur panw ye kahte hain ki sadiyon ka thaka hun
manzil ka bharam mujh pe ayan ho gaya yaro
behtar hai palaT jaun jahan se main chala hun
dastur-e-zamana mujhe apnaega kyun kar
main sar se utari hui bewa ki rida hun
sar dhup mein duniya ki chhupana nahin aasan
main qad mein har ek jism ke sae se baDa hun
sau bar mera KHun bahaya gaya nahaq
sau bar main ehsas ki suli pe chaDha hun
ek 'umr mere dil ko ye gham yaad rahega
be-jurm tere shahr ke zindan mein raha hun
jis ghar ki bulandi pe mujhe naz tha 'kazim'
main aaj usi ghar ki bulandi se gira hun
- Book : کتاب سنگ (Pg. 29)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.