kahta hai usko pyar ka matlab nahin pata
kahtā hai us ko pyaar kā matlab nahīñ pata
is dil ko be-qarār kā matlab nahīñ pata
kyoñ DhūñDhte ho mujh ko bahāroñ ke ās-pās
kyā tum ko yaar ḳhaar kā matlab nahīñ pata
sayyād kar rahā thā parindoñ ko kal rihā
shāyad use shikār kā matlab nahīñ pata
sūraj se jang jītne niklā hai nā-murād
jāhil ko reg-zār kā matlab nahīñ pata
har baar kah rahī ho tabī'at ḳharāb hai
kyā mujh ko baar baar kā matlab nahīñ pata
ahl-e-adab se dostī achchhī nahīñ hai 'zaid'
un ko to rozgār kā matlab nahīñ pata
kahta hai us ko pyar ka matlab nahin pata
is dil ko be-qarar ka matlab nahin pata
kyon DhunDhte ho mujh ko bahaaron ke aas-pas
kya tum ko yar KHar ka matlab nahin pata
sayyaad kar raha tha parindon ko kal riha
shayad use shikar ka matlab nahin pata
suraj se jang jitne nikla hai na-murad
jahil ko reg-zar ka matlab nahin pata
har bar kah rahi ho tabi'at KHarab hai
kya mujh ko bar bar ka matlab nahin pata
ahl-e-adab se dosti achchhi nahin hai 'zaid'
un ko to rozgar ka matlab nahin pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.