kahta hun main ki ghair ne hargiz kaha nahin
kahtā huuñ maiñ ki ġhair ne hargiz kahā nahīñ
tujh ko na ho qubūl jo merī duā nahīñ
in pāniyoñ kisī ko Dubo.e na sharm-e-shauq
maiñ aab aab us kī taraf dekhtā nahīñ
sau ruḳh se chūmtā hai tirā pairahan ḳhayāl
sab meñ huuñ merī jaan ye mauj-e-havā nahīñ
hairāñ khaḌā huuñ vasl-e-judā.ī ke darmiyāñ
maiñ kis shumār meñ huuñ agar ā.īna nahīñ
guzrā mire darūn se tū hī ba-rañg-e-umr
ab jaane vo darūn bhī merā thā yā nahīñ
chuTkī mahak uThī hai ye kaisī umiid kī
ab tak to dastaras meñ vo band-e-qabā nahīñ
kām-o-dahan ko baḳhsh chukā hai jo pahle niib
ab shahd sher de bhī to koī mazā nahīñ
kahta hun main ki ghair ne hargiz kaha nahin
tujh ko na ho qubul jo meri dua nahin
in paniyon kisi ko Duboe na sharm-e-shauq
main aab aab us ki taraf dekhta nahin
sau ruKH se chumta hai tera pairahan KHayal
sab mein hun meri jaan ye mauj-e-hawa nahin
hairan khaDa hun wasl-e-judai ke darmiyan
main kis shumar mein hun agar aaina nahin
guzra mere darun se tu hi ba-rang-e-umr
ab jaane wo darun bhi mera tha ya nahin
chuTki mahak uThi hai ye kaisi umid ki
ab tak to dastaras mein wo band-e-qaba nahin
kaam-o-dahan ko baKHsh chuka hai jo pahle nib
ab shahd sher de bhi to koi maza nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.